KhadMunshi ka live demo
Video nahi, live. Aap apne kisanon ke naam daal kar dekhein ke aap ki dukaan par yeh kaise chalega.
WhatsApp: +92 319 6165027Demo mein kya dikhaya jata hai
- Dashboard. Lena (receivables), Dena (payables) aur sale ka total ek nazar mein.
- Naya bill. Kisan chunein, khad ya dawai chunein, bill save. Stock apne aap kam.
- Kisan ka khata. Har kisan ka alag khata: kitna baaki, kab liya, kab diya.
- Stock. Kaunsi khad kitni bachi hai, aur kya khatam hone wali hai.
- Khareed aur supplier. Supplier se liya hua maal aur uska lena dena.
- Mobile aur laptop. Wahi hisaab har device par.
Demo ke liye aap ko kya chahiye
- 10 se 15 minute
- Apne 3 se 5 kisanon ke naam aur unka mojooda baaki (sirf andaza kaafi hai)
- Apni dukaan ke 5 se 10 products
Hum aap ka asli data kisi public video mein nahi dikhate. Demo mein aap ke apne naam sirf aap dekhte hain.
Pehla message kya likhein
Bas itna kaafi hai: apna naam, shehar aur dukaan ka naam. Hum aap ko demo ka waqt bata dete hain.
Message likhna shuru karein